}

Wednesday, 30 September 2015

Naya Ek Rishta Paida Kyon Karein Hum,

Naya Ek Rishta Paida Kyon Karein Hum,
Bichhadhna Hai Toh Jhagda Kyon Karein Hum. 


Wafa, Ikhlaas, Qurbaani, Mohabbat
Ab Inn Lafzon Ka Peechha Kyon Karein Hum. 


Yeh Kaafi Hai Ki Hum Dushman Nahi Hain,
Wafadaari Ka Daawa Kyon Karein Hum. 


Kiya Tha Ehad Jab Lamhon Mein Hum Ne,
Toh Saari Umar Aeffa Kyon Karein Hum. 


Utha Kar Kyon Na Pheinken Saari Cheezein,
Faqat Kamaron Mein Tehlaa Kyon Karein Hum


Barehna Hain Sar-e Bazaar Toh Kya,
Bhala Andhon Se Parda Kyon Karein Hum. 


Hain Bashindey Issi Basti Ke Hum Bhi,
So Khud Par Bhi Bharosa Kyon Karein Hum. 


Nahi Duniya Ko Jab Parwaah Humari,
Toh Phir Duniya Ki Parwaah Kyon Karein Hum. 


Padi Rehne Do Insaanon Ki Laashein,
Zameen Ka Bojh Halka Kyon Karein Hum. 



Yeh Basti Hai Musalmaanon Ki Basti,
Yahan Kar-e Masiha Kyon Karein Hum. !

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Phir bewafaai