Aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye,
uss ke baad aaye jo azaab aaye.
Baam-e meena se mahtaab utre,
dasht-e saaqi mein aaftaab aaye.
Har ragg-e khoon mein phir charaagan ho,
saamne phir woh behisaab aaye.
Umar ke har waraq pe dil ki nazar,
teri mehr-o wafa ke baab aaye.
Kar raha tha ghum-e jahan ka hisaab,
aaj tum yaad behisaab aaye.
Na gayi tere ghum ki sardaari,
dil mein yun roz inqilaab aaye.
Jal uthe bazm-e ghair ke dar-o baam,
jab bhi hum khanumaan-kharaab aaye.
Iss tarah apni khamoshi goonji,
goya har samt se jawaab aaye.
Faiz’ thi raah sar-ba-sar manzil,
hum jahan pahunche kaamyaab aaye. !!
No comments:
Post a Comment