}

Wednesday 30 September 2015

Mujhko aap apna aap dijiyega,

Mujhko aap apna aap dijiyega,
aur kuchh bhi na mujh se lijiyega.


Aap bemisl, bemisaal hun main,
mujh siwa aap kis pe rijhiyega.


Aap jo hain azal se hi benaam,
naam mera kabhi toh lijiyega.


Aap bas mujh mein hi toh hain, so aap
mera behad khyaal kijiyega.


Hai agar waaqai sharaab haraam,
aap hothon se mere pijiyega.


Intezaari hun apna main din raat,
ab mujhe aap bhej dijiyega

.
Aap mujh ko bahut pasand aaye,
aap meri kameez sijiyega.


Dil ke rishte hain khoon, jhooth ki sach,
ye muamma kabhi na boojhiyega.


Hai mere jism-o jaan ka maazi kya ?
mujh se bas ye kabhi na poochiyega.


Mujh se meri kamaai ka sar-e shaam,
paai paai hisaab lijiyega.


Zindagi kya hai, ik hunar karna
so qareene se zehar pijiyega.



Main jo hun, ‘Jaun Eliya’ hun janaab,
iska behad lihaaz kijiyega. !!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Phir bewafaai