Chaand nikle kisi jaanib teri zebaai ka,
rang badle kisi soorat shab-e tanhaai ka.
Daulat-e labb se phir aye khusraw-e-sheereen-dahnaan,
aaj arzaan ho koi harf shanasaai ka.
Garmi-e rashk se har anjuman-e-gul-badanaan,
Tazkira chhede teri pairhan aaraai ka.
Sehan-e gulshan mein kabhi aye shah-e-shamshaad-qadan,
phir nazar aaye saleeqa teri raanai ka.\
Ek barr aur maseeha-e-dil-e-dil-zadgaan,
koi wada koi iqraar maseehaai ka.
Deeda-o dil ko sambhaalo ki sar-e-shaam-e-firaaq,
saaz-o saamaan baham pahuncha hai ruswaai ka. !!
No comments:
Post a Comment