Wednesday, 23 September 2015
Karoon na yaad, magar kis tarah bhulaoon Usse
Karoon na yaad, magar kis tarah bhulaoon Usse
Ghazal bahana karoon aur gungunaao.n usse
Woh khaar khaar hain, shaakh-e-gulaab ki manind
Main zakhm zakhm hoon, fhir bhi gale' lagaoon usse
Yeh log tazkire' karte hain apne logon ke
Main kaise baat karoon, aur kahan se laoon usse
Jo humsafar sar-e-manzil bichhad raha hai 'Faraz'
ajab nahi hai agar yaad bhi na aao.n usse
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment