}

Friday 16 September 2016

Main Sharabi Hoon Shrabi Ka Bharosa Kya Hai

Main Sharabi Hoon Shrabi Ka Bharosa Kya Hai












Hum Na Samjhe Teri Nazron Ka Taqaaza Kya Hai,
Kabhi Jalwa Kabhi Parda Ye Tamasha Kya Hai,

Hum Ko Madhosh Sa Kar Rakha Hai Teri Aankhon Nay,
Warna Saaqi Tere Mai-Khanai Mein Rakha Kya Hai,

Daikh Laila Tere Majnu Ka Kaleja Kya Hai,
Khaak Mein Mil K Bhi Kehta Hai K Bigra Kya Hai,

Ye Surahi Sa Badan Lay Kar Na Mere Samnay Aa,
Main Sharabi Hoon Shrabi Ka Bharosa Kya Hai,

Apnay Honton Ko Mere Honton Say Zara Choonay To Day,
Aik Do Ghoont Say Botal Ka Bigarta Kya Hai.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Phir bewafaai