}

Wednesday 30 September 2015

Ab ke yun dil ko saza di hum ne,

Ab ke yun dil ko saza di hum ne,
















Ab ke yun dil ko saza di hum ne,
Uss ki har baat bhula di hum ne.

Ek ek phool bahut yaad aaya,
Shakh-e gul jab woh jala di hum ne.

Aaj tak jis pe woh sharmaate hain,
Baat woh kab ki bhula di hum ne.

Shehar-e jahan raakh se aabaad hua,
Aag jab dil ki bujha di hum ne.

Aaj phir yaad bahut aaya woh,
Aaj phir uss ko dua di hum ne.


Koi toh baat hai uss mein ‘Faiz
Har khushi jis pe luta di hum ne. !!

Aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye,

Aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye,
uss ke baad aaye jo azaab aaye.

Baam-e meena se mahtaab utre,
dasht-e saaqi mein aaftaab aaye.

Har ragg-e khoon mein phir charaagan ho,
saamne phir woh behisaab aaye.

Umar ke har waraq pe dil ki nazar,
teri mehr-o wafa ke baab aaye.

Kar raha tha ghum-e jahan ka hisaab,
aaj tum yaad behisaab aaye.

Na gayi tere ghum ki sardaari,
dil mein yun roz inqilaab aaye.

Jal uthe bazm-e ghair ke dar-o baam,
jab bhi hum khanumaan-kharaab aaye.

Iss tarah apni khamoshi goonji,
goya har samt se jawaab aaye.


Faiz’ thi raah sar-ba-sar manzil,
hum jahan pahunche kaamyaab aaye. !!

Chaand nikle kisi jaanib teri zebaai ka,

Chaand nikle kisi jaanib teri zebaai ka,
rang badle kisi soorat shab-e tanhaai ka.


Daulat-e labb se phir aye khusraw-e-sheereen-dahnaan,
aaj arzaan ho koi harf shanasaai ka.


Garmi-e rashk se har anjuman-e-gul-badanaan,
Tazkira chhede teri pairhan aaraai ka.


Sehan-e gulshan mein kabhi aye shah-e-shamshaad-qadan,
phir nazar aaye saleeqa teri raanai ka.\


Ek barr aur maseeha-e-dil-e-dil-zadgaan,
koi wada koi iqraar maseehaai ka.



Deeda-o dil ko sambhaalo ki sar-e-shaam-e-firaaq,
saaz-o saamaan baham pahuncha hai ruswaai ka. !!

Seena Dehak Reha Hai Toh Kya Chup Rahe Koi,

Seena Dehak Reha Hai Toh Kya Chup Rahe Koi,
Kyon Cheekh Cheekh Kar Na Gala Chheel Le Koi..


Sabu Hua Sukoon-e Dil-o Jaan Kahin Nahi,
Rishton Mein Dhoondta Hai Toh Dhundha Kare Koi..


Tark-e Talluqat Koi Masla Nahi,
Ye Toh Woh Raasta Hai Ki Bas Chal Pade Koi..


Deewaar Jaanta Tha Jise Main Woh Dhool Thi,
Ab Mujh Ko Aitamaad Ki Daawat Na De koi..



Main Khud Ye Chahta Hun Ki Halaat Hon Kharab,
Mere Khilaaf Zehar Ugalta Phirey Koi.. 


Aye Shakhs Ab Toh Mujh Ko Sabhi Kuchh Hai Qabool,
Ye Bhi  Qabool Hai Ki  Tujhe Chheen Le Koi..


Haan Theek Hai Main Apni Ana Ka Mareez Hun,
Aakhir Mere Mizaaj Mein Kyon Dakhal De Koi..


Ek Shakhs Kar Reha Hai Abhi Tak Wafa Ka Zikar,
Kaash Iss Zubaan-Daraaz Ka Munh Noch Le Koi …!! 

Naya Ek Rishta Paida Kyon Karein Hum,

Naya Ek Rishta Paida Kyon Karein Hum,
Bichhadhna Hai Toh Jhagda Kyon Karein Hum. 


Wafa, Ikhlaas, Qurbaani, Mohabbat
Ab Inn Lafzon Ka Peechha Kyon Karein Hum. 


Yeh Kaafi Hai Ki Hum Dushman Nahi Hain,
Wafadaari Ka Daawa Kyon Karein Hum. 


Kiya Tha Ehad Jab Lamhon Mein Hum Ne,
Toh Saari Umar Aeffa Kyon Karein Hum. 


Utha Kar Kyon Na Pheinken Saari Cheezein,
Faqat Kamaron Mein Tehlaa Kyon Karein Hum


Barehna Hain Sar-e Bazaar Toh Kya,
Bhala Andhon Se Parda Kyon Karein Hum. 


Hain Bashindey Issi Basti Ke Hum Bhi,
So Khud Par Bhi Bharosa Kyon Karein Hum. 


Nahi Duniya Ko Jab Parwaah Humari,
Toh Phir Duniya Ki Parwaah Kyon Karein Hum. 


Padi Rehne Do Insaanon Ki Laashein,
Zameen Ka Bojh Halka Kyon Karein Hum. 



Yeh Basti Hai Musalmaanon Ki Basti,
Yahan Kar-e Masiha Kyon Karein Hum. !

Nahi Duniya Ko Jab Parwaah Humaari,

Nahi Duniya Ko Jab Parwaah Humaari,
Toh Phir Duniya Ki Parwaah Kyon Karein Hum…!

Beqaraari si beqaraari hai,

Beqaraari si beqaraari hai,
Wasl hai aur firaaq taari hai.


Jo guzaari na ja saki hum se,
hum ne woh zindagi guzaari hai.


Uss se kahiyo ki dil ki galiyon mein,
raat din teri intezaari hai.


Ek mehak samt-e jaan se aayi thi,
main ye samjha teri sawaari hai.


Haadson ka hisaab hai apna,
warna har aan sab ki baari hai.


Bin tumhaare kabhi nahi aayi,
kya meri neend bhi tumhaari hai?


nighaah-baan kya hue ki logon par,
apna saaya bhi ab toh bhari hai.


Khush rahe tu ki zindagi apni,
umar bhar ki ummeed’wari hai.


Aap mein kaise aaun main tujh bin?
saans jo chal rahi hai aari hai.



Hijar ho ya wisaal ho kuchh ho,
hum hain aur uski yaadgaari hai. !!

Baras Guzre Tumhein Soye Hue,

Baras Guzre Tumhein Soye Hue,
Uth Jaao, Sunti Ho ? Aab Uth Jaao.
Main Aaya Hun !
Main Andaze Se Samjha Hun,
Yahan Soyi Hui Ho Tum..
Yahaan, Roi Zameen Ke Iss Muqaam-e Aasmaani Tar Ke Hudd Mein.
Baad Haaye Tund Ne..
Mere Liye Bas Ek Andaza Hi Chhoda Hai. !!

Mujhko aap apna aap dijiyega,

Mujhko aap apna aap dijiyega,
aur kuchh bhi na mujh se lijiyega.


Aap bemisl, bemisaal hun main,
mujh siwa aap kis pe rijhiyega.


Aap jo hain azal se hi benaam,
naam mera kabhi toh lijiyega.


Aap bas mujh mein hi toh hain, so aap
mera behad khyaal kijiyega.


Hai agar waaqai sharaab haraam,
aap hothon se mere pijiyega.


Intezaari hun apna main din raat,
ab mujhe aap bhej dijiyega

.
Aap mujh ko bahut pasand aaye,
aap meri kameez sijiyega.


Dil ke rishte hain khoon, jhooth ki sach,
ye muamma kabhi na boojhiyega.


Hai mere jism-o jaan ka maazi kya ?
mujh se bas ye kabhi na poochiyega.


Mujh se meri kamaai ka sar-e shaam,
paai paai hisaab lijiyega.


Zindagi kya hai, ik hunar karna
so qareene se zehar pijiyega.



Main jo hun, ‘Jaun Eliya’ hun janaab,
iska behad lihaaz kijiyega. !!

jab ek shor sa barpa hai kahin,

jab ek shor sa barpa hai kahin,
Koi khaamosh ho gaya hai kahin.


Hai kuchh aisa ki jaise ye sab kuchh,
Ab se pehle bhi ho chuka hai kahin.


Jo yahan se kahin na jaata tha,
Woh yahan se chala gaya hai kahin.


Tujh ko kya ho gaya ki cheezon ko,
Kahin rakhta hai, dhundhta hai kahin.


Tu mujhe dhoondh, main tujhe dhoondhun,
Koi hum mein se reh gaya hai kahin.



Isi kamre se ho ke koi widaa,
Isi kamre mein chhup gaya hai kahin . !!

Pasand aaya humen bahut peshaa,

Pasand aaya humen bahut  peshaa,
khud hi apne gharon ko dhaane ka …!

Na Aashna Husan ko kya Aitbaar-e-Ishq



Na Aashna Husan ko kya Aitbaar-e-Ishq
Andhon k Aage meer na roya kijiye

Wo Tujh ko Bhoolain hain to Tugh pe bhi Laazim ha "Meer"


Wo Tujh ko Bhoolain hain to Tugh pe bhi Laazim ha "Meer"

Khaak Daal, Aag laga,Naam na le,Yaad na kr

Tumhari Shokhi-e-guftaar se waqif hum Azal se hain Meer

Tumhari Shokhi-e-guftaar se waqif hum Azal se hain Meer
Kahan tum, Kahan Mohabat, Jaane dijiye, Rehne dijiye, Bus Kijiye

Jin Jin ko tha ye Ishq ka Azaar mar gaye

Jin Jin ko tha ye Ishq ka Azaar mar gaye
Aksar Hamare Saath ke Bemaar mar gaye

Hamare Aagay tera jab Kasso ne Naam lia

Hamare Aagay tera jab Kasso ne Naam lia
Dil Sitamzda ko Hum ne thaam thaam lia 

Ab Bhi Barsaat Ki Raaton Main Badan Toot’ta Hai



Ab Bhi Barsaat Ki Raaton Main Badan Toot’ta Hai
Jaag Uth’ti Hain Ajab Khwaahishein Angraai Ki

isi main khush hun mera dukh koi to sahta hai

isi main khush hun mera dukh koi to sahta hai



















isi main khush hun mera dukh koi to sahta hai
chali chalun ki jahan tak ye sath rahta hai

Sari duniya k riwajon sy adawat ki thi

Sari duniya k riwajon sy adawat ki thi



















Sari duniya k riwajon sy adawat ki thi
Tum ko yad hai jab men ny ik himaqat ki thi

Usy razdan samajh kr bataya tha hal-e-dil apna
Par us shakhs ny meri zat sy baghawat ki thi

Jab kisi ki yadon ny Aankhon ko bhigoya tha meri
Maine ik nam ki tasbeh pe tilawat ki thi

Us ko chor k hansty hue ghar Aa kar
Itna roye thy k Ankhon ny qyamat ki thi

Mery ujarny ka sabab jab bhi kisi ny pocha to
Maine bas itna bataya k "MOHABBAT KI THI".

Tuesday 29 September 2015

Wo Kitna Mehrban Tha Ke Hazaron Ghum De Gaya

Wo Kitna Mehrban Tha Ke Hazaron Ghum De Gaya
*”Mohsin”*..!!
Hum Kitne Khud Gharz Nikle Kuch Na De Sake “MUHABBAT” K Siwa…

Kal Rat Maine Apne Dil Se Bhi Taluk Torr Diya”

Kal Rat Maine Apne Dil Se Bhi Taluk Torr Diya”
“Mohsin”
Kambakht tujhe Bhool Jane Ki Bat Karta Tha.

Uss zakhm k bharny me kuch dair tou lagti hai MOHSIN!!!

Uss zakhm k bharny me kuch dair tou lagti hai MOHSIN!!!
Jis zakham mein shamil ho kuch apno ki inaayat…!!

Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha


Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha
Mujhse Milta Tha Tou Talqeen-E-Wafa Karta Tha


Uske Daman Main Koi Phool Nahi Meray Liye
Jo Meri Tangi-e-Damaa.n Ka Gila Karta Tha


Aaj Jo Usko Bulaya Tou Wo Gumsum Hee Raha
Dil Dhadaknay Ki Jo Awaz Suna Karta Tha

Aaj Wo Meri Har Ek Baat Ke Maayni Poochay
Jo Meri Soch Ki Tafseer Likha Karta Tha


Uski Dehleez Par Sadiyon Se Khada Hoon “Mohsin”
Mujhsay Milnay Ko Jo Lamhaat Gina Karta Tha…!!!

Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do

Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do

Tishnagi K Azaab Rehnay Do

Ponch Dalo Na Aankh Se Kaajal

Kuch Tou Khanjar Pe Aab Rehnay Do

Tum Sanwaro Apni In Zulfon Ko

Meri Halat Kharab Rehnay Do

Chaand Badal Main Acha Lagta Hai

Adhay Rukh Pe Naqab Rehnay Do

Un K Chehry Ki Baat Ho Jaye

Aaj Zikr-e-Gulab Rehnay Do

Un Ki Chokhat Ko Choom Lo “Mohsin”


Baki Saray Sawaab Rehnay Do….!!

Ager Mujh Se Bicherne Ka Nahe Hai Gham Osay Mohsin

Ager Mujh Se Bicherne Ka Nahe Hai Gham Osay
 Mohsin
Tu Phir Khamosh Raaton Main Wo Akser Jagta Kiyu Hai

Wo To Aaya Tha Kai Baar Manane Mujh Ko..

Wo To Aaya Tha Kai Baar Manane Mujh Ko..


Mujh Say Doori Main Jo Guzri Thi Sunane Mujh Ko..



Main Ny Hi Tark_e_Ta'aluq Ki Qasam Kha Li Thi..
Yaad Aa Gay Phir LOG Purane Mujh Ko..

Kuch To Aadat Hai Aankhon Ko Chalak Jane Ki..
Kuch Khayalat Bhi Aate Hain Rulane Mujh Ko.

Us Ko Dekhon To Dil Ko Pashemani Hoti Hai
Jo Dikhate The Kabhi Khuwab Suhane Mujh Ko

Us Ne Aik Lamhe Main Andaz Badal Dala "Mohsin"..

 Jis Ki Qurbat Main Lage Kitne Zamane Mujh Ko...

Sukhey nhi aaj tak tairi YADOO K Phool, MOHSIN

Sukhey nhi aaj tak tairi YADOO K Phool, MOHSIN
Main ne hamesha inko apne ANSUOO se tarr rakha hai. . 

Diya khud se bhuja dena

Diya khud se bhuja dena


Hawa ko Or kia dena


Kabhi is tor se hansna


K Dunya ko Rula dena


Kabhi is rang main rona 


K khud pe Muskura dena


Main teri Dastras chahon


Mughe Aesi Dua dena
Main tera Barmala Mujrim
Mughe khul kr saza dena
Main tera Munfarid sathi
Mughe hat kr jaza dena
Mughe Acha laga Mohsin

 Usay pa kr ganwa dena

Woh Kehta Rahta Hai Bari Majboorian Hain Waqt Ki “MOHSIN”

Woh Kehta Rahta Hai Bari Majboorian Hain Waqt Ki
 “MOHSIN”
Saaf Lafzon Main Woh Khud Ko Bewafaa Nahiin Kehta!

Ab Mohabbat ki Wakaalat Nahi Ki Ja Sakti

Ab Mohabbat ki Wakaalat Nahi Ki Ja Sakti


Shehr Bhar se to Adaawat Nahi Ki Ja Sakti


.


Mera Chehra Meri Aankhain hain Salaamat Ab Bhi
Kon Kehta Hai Wazaahat Nahi Ki Ja Sakti
.
Baat ye Hai k koi Toot k Chaahay to Sahi
Her kisi se to Mohabbat Nahi Ki Ja Sakti
.
Aankh Kehti Hai Kahin Aur Chalay Jaayen Hum
Dil ye Kehta Hai k Hijrat Nahi Ki Ja Sakti
.
Loh-e-Dil par Yehi Tehreer Likhi hay Mohsin

 Ishq Waalon ko Naseehat Nahi Ki Ja Sakti.

Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein ..!!

Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein ..!!


Aaisa Kartey Hein Keh Marr Jatey Hein ..!!



Kaisay Hotey Hein Bicharnay Walay..??
Hum Yea Sochein Bhi Toa Darr Jatey Hein ..!!

Dil Jo Tootey Toa Sar-e-Mehfil Bhi..!!
Baaal Be-Waja Bikhar Jatey Hein ..!!

Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhein..!!
Chartey Daryaa Toa Uther Jatey Hein ..!!

Dhoop Ka Roop Rachaney Walay...!!
Shaam Ko Aur Nikhar Jatey Hein ..!!

Ab Na Murr Murr Kay Pukaroo Unko..!!
Log Rastay Mein Taher Jatey Hein ..!!

Khaali Damann Say Shikayat Kaisi...??
Aashk Ankhon Mein Toa Barh Jatey Hein ..!!

Tum Kahan Jao Gay Socho Mohsin ..??

 Log Thakk Haar Kay Ghar Jatey Hein .......!!

Ishq ne ‘Ghalib’ nikammaa kar diyaa,

Ishq ne ‘Ghalib’ nikammaa kar diyaa,





















Ishq ne ‘Ghalib’ nikammaa kar diyaa,
varnaa ham bhi aadmi the kaam ke..

Jee Dhundhta Hai Phir Wahi Fursat Ke Raat-Din

Jee Dhundhta Hai Phir Wahi Fursat Ke Raat-Din




















Jee Dhundhta Hai Phir Wahi Fursat Ke Raat-Din
Baithe Rahe Taswur-e-Jaana Kiye Hue

Qahr Ho Ya Balaa Ho Jo Kuch Ho

Qahr Ho Ya Balaa Ho Jo Kuch Ho


















Qahr Ho Ya Balaa Ho Jo Kuch Ho
Kaash-Ke Tum Mire Liye Hote

Phir Tere Kooche Ko Jaataa Hai Khayaal

Phir Tere Kooche Ko Jaataa Hai Khayaal
Dil-e-Gum-Gashta Magar Yaad Aayaa

Sari raah jo unsey nazar milli..

Sari raah jo unsey nazar milli..
Tou Naksh dil ky ubhar gayee..
Ham nazar milla kar jhijag gayee..
Wo Nazar jhuka kr chale gayee..!!

jab sey dekhi hey hamne duniyaa qareeb sey..

jab sey dekhi hey hamne duniyaa qareeb sey..
lagney lagen hain saare rishtey ajeeb sey…!!

dum har mauj main hai halqa-e-sadkam-e-nahang..

dum har mauj main hai halqa-e-sadkam-e-nahang..
daikhen kya guzarey hai qatre pe gauhar honey tak…!!

hum ney mana k taaghaful na karoge lekin..

hum ney mana k taaghaful na karoge lekin..
















hum ney mana k taaghaful na karoge lekin..
khaak ho jayenge hUm tum ko khabar honey tak..!!

Hath ki lakiroon py na jana Ghalib..

Hath ki lakiroon py na jana Ghalib..
Muqadar in k b hotay hain, jin k hath nahi hotay…!

Qaid-e-Hayaat o Band-e-Gham Asl Mei'n Dono'n Ek HaiN

Qaid-e-Hayaat o Band-e-Gham Asl Mei'n Dono'n Ek HaiN
Maut Se Pahle Aadmi Gham Se Najaat Paae Kyu'

Yahii Hai Aazmaanaa To Sataanaa Kis Ko Kahte HaiN

Yahii Hai Aazmaanaa To Sataanaa Kis Ko Kahte HaiN
Aduu Ke Ho Liye Jab Tum To Meraa Imteha'n KyuN Ho

Tere Dil MeiN Gar Na Tha Ashob-e-Ghum Ka Housla

Tere Dil MeiN Gar Na Tha Ashob-e-Ghum Ka Housla
Tune Phir KyuuN Ki Thi Meri Ghum Gusari Hae Hae


Khak MeiN Namus-e-Paiman-e-Mohabbat Mil Gai
Uth Gai Duniya Se Raah-o-Rasm-e-Yaari Hae Hae

Na Tha Kuch To Khuda Tha..

Na Tha Kuch To Khuda Tha..
.
Kuch Hota To Khuda Hota..
.
DabOya Mujh Ko HoneY Ne..

.
Na Hota Mein To KiYa Hota..!!

Monday 28 September 2015

Zahid sharab penay day masjid main beth kar

Mirza Ghalib
Zahid sharab penay day masjid main beth kar
ya phr wo jaga bata jahan khudaa Nahi


Allama Iqbal
Masjid khudaa ka Ghar hai pene ki jagah nahi
kafar ke dil main ja wahan khuda nahi

AHMAD FARAZ
Kafar ke dis se aya hoon main ye dekh ke
Khuda mojud he wahan par uSay pAta nahi

Tavaaf-E-Manzil-E-Jaanaan Hamein Bhii Karnaa

Tavaaf-E-Manzil-E-Jaanaan
Hamein Bhii Karnaa Hai
“Faraz”
Tm Bhii Ager Thorii Duur Saath Chalo.

Sab He Apni Gharz Say Miltay Hein Faraz

Sab He Apni Gharz Say Miltay Hein
Faraz
Maza Toh Tab Hai Kay Koi Bay Sabaab Milay.

Kiss Qadar Masoom Saa Lehja Tha Unn Ka

Kiss Qadar Masoom Saa Lehja Tha Unn Ka
“Faraz”
Dheeray Say Jaan Keh Kar Hamein Bejaan Kar Gaya.

Unglian toot gayen pathar tarashtey tarashtey Faraz..

Unglian toot gayen pathar tarashtey tarashtey Faraz..















Unglian toot gayen pathar tarashtey tarashtey Faraz..
r jab bani soorat-e-yaar tuo kharidar aa gaye….!!

Mainey jis shahkas ko phoolon sey sajaya tha Faraz..

Mainey jis shahkas ko phoolon sey sajaya tha Faraz..













Mainey jis shahkas ko phoolon sey sajaya tha Faraz..
Meray seeney main usee shahkas ka kanta utra…!!

Bewafa NeY HamareY Zakham Ka …

Bewafa NeY HamareY Zakham Ka …





















Bewafa NeY HamareY Zakham Ka …
.
Kuch Youn ILaj Kiya Faraz ..
.
.
MarhaM Bhi Lagaya TUo ..
.
Khanjar Ki Nouk SeY…!!! :)

Sakoot-e-shaam-e-KhizaaN…

Sakoot-e-shaam-e-KhizaaN…
.
hai qariib aa jaaooo…
.
.
baraa udaas samaaN ..
.
hai qariib aa jaao..!! :)

Faraz’ door keY..

Faraz’ door keY..
.
sooraj Garoob samajhe gaye..
.
ye daur-e-kam_nazaaraa ..

.
hai qarib aa jaaoOO…!! :)

karuu.N na yaad agar kis tarah bhulaa_uu.N use

karuu.N na yaad agar kis tarah bhulaa_uu.N use




















karuu.N na yaad agar kis tarah bhulaa_uu.N use
Gazal bahaanaa karuu.N aur gun_gunaa_uu.N use

vo Khaar-Khaar hai shaaKh-e-gulaab kii maanind
mai.n zaKhm-zaKhm huu.N phir bhii gale lagaa_uu.N use

ye log tazakare karate hai.n apane logo.n se
mai.n kaise baat karuu.N aur kahaa.N se laa_uu.N use


magar vo zuud_faraamosh zuud ranj bhii hai
ke ruuTh jaaye agar yaad kuchh dilaa_uu.N use

vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaa.N
tumhaarii baat pe ai naasiho ga.Nvaa_uu.N use

jo ham_safar sar-e-manzil bichha.D rahaa hai 'Faraz'
ajab nahii.n ki agar yaad bhii na aa_uu.N use

ab ke ham bichhRe to shaayad kabhii


ab ke ham bichhRe to shaayad kabhii
Add caption
















ab ke ham bichhRe to shaayad kabhii KhvaaboN meN mileN
jis tarah suukhe hu’e phuul kitaaboN meN mileN

DhuuNDh ujRe hu’e logoN meN vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai KharaaboN meN mileN

tuu Khudaa hai na meraa ishq farishtoN jaisaa
donoN insaaN haiN to kyuN itne hijaaboN meN mileN

Gham-e-duniyaa bhii Gham-e-yaar meN shaamil kar lo
nashaa baRhtaa hai sharabeN jo sharaaboN meN mileN

aaj ham daar pe kheNche gaye jin baatoN par
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaaboN meN mileN

ab na vo maiN huN na tuu hai na vo maazii hai “Faraaz”
jaise do saaye tamannaa ke saraaboN meN mileN

sholaa thaa jal-bujhaa huu.N havaaye.n mujhe na do

sholaa thaa jal-bujhaa huu.N havaaye.n mujhe na do 
mai.n kab kaa jaa chukaa huu.N sadaaye.n mujhe na do 

jo zahar pii chukaa huu.N tumhii.n ne mujhe diyaa 
ab tum to zindagii kii duaaye.n mujhe na do 

aisaa kahii.n na ho ke palaTakar na aa sakuu.N 
har baar duur jaa ke sadaaye.n mujhe na do 

kab mujh ko aiteraaf-e-muhabbat na thaa 'Faraaz'
kab mai.n ne ye kahaa thaa sazaaye.n mujhe na do 

Aye chand kabi un ki chhat se guzro tu

Aye chand kabi un ki chhat se guzro tu
















Aye chand kabi un ki chhat se guzro tu
unhain meri ek baat kehna....

kehna k barri muddat se ham ne Chand nhi daikha  

Saturday 26 September 2015

Agar-che Waqt Marham Hai

Agar-che Waqt Marham Hai













Agar-che Waqt Marham Hai
Magar Kuch Waqt Lagta Hai
Kisi Ko Bhool Janay Main
Dobara Dil Basane Main
Abhi Kuch Waqt Lagta Hai
Abhi wOh Dard Baqi Hai
Main Kaise NAyii Ulfat MAin
Apni Zaat Gum Kardoon
K Mere Jism-o-Wajdaan Main
Abhi wOh Fard Baqi Hai
Abhi Es Shaks Ki MUjhe Per
Bigha-e Sard Baqi Hai
Abhi to Ishq K Raaston Ki
Mujh Per Gird Baqi HAi
Abhi wOh Dard Baqi HAi..!!!

Wednesday 23 September 2015

Main Jo Chahun Abhi Torr doon Naata Tum se..
















Main Jo Chahun Abhi Torr doon Naata Tum se.
Par Main Buzz Dil hoon Mujhe Maut Se Dar Lagta Hei

Rooth Gaya wo Jb, Sb Mosam Suhanay Gay..

Rooth Gaya wo Jb, Sb Mosam Suhanay Gay..




















Rooth Gaya wo Jb, Sb Mosam Suhanay Gay..
Yad Ay Jb Sawal Teray, sb Jawab Puranay Gay...


Raton ko beth kr Sochain Janjhorain Ab..
Jb Yadon se G Lagta tha ab Wo Zamanay gay


Uskay Janay se Ansuwon ki barsat lagi phr
Zabt ki Misal thay jo, Wo b Ansu Chupanay Gay...


Phr Barsat Ayi, Barish barsi, Ronay ko Har Ankh Tarsi
Uskay nam pay jo rakhay thay, Sb Toot Paimanay gay

Karoon na yaad, magar kis tarah bhulaoon Usse

Karoon na yaad, magar kis tarah bhulaoon Usse












Karoon na yaad, magar kis tarah bhulaoon Usse
Ghazal bahana karoon aur gungunaao.n usse

Woh khaar khaar hain, shaakh-e-gulaab ki manind
Main zakhm zakhm hoon, fhir bhi gale' lagaoon usse

Yeh log tazkire' karte hain apne logon ke
Main kaise baat karoon, aur kahan se laoon usse

Jo humsafar sar-e-manzil bichhad raha hai 'Faraz'
ajab nahi hai agar yaad bhi na aao.n usse

Yaad aaon to bus itni si anayat krna

Yaad aaon to bus itni si anayat krna














Yaad aaon to bus itni si anayat krna
Apny badly huay lehjay ki wazahat krna
Tum to chahat ka shah'kaar hua krty thay,
kis se seekha hy ye ulfat mein milawat krna,
Hum sazaon k haq"daar baney hain kb se?
Tum hi keh do k jurm hy kia mohabat krna?
Teri furqat mein ye aankhain abhi tk nam hain,
Kbhi aana, meray ashkon ki ziyarat krna,
Dil mein ab bhi mohabat k diay hain roshan,
Daikh,bhooly nahi teri hasti ki ibadat krna...,

Monday 21 September 2015

Ashk Aankhon mein chupaty huey thak jata hoon​

  Ashk Aankhon mein chupaty huey thak jata hoon​
















Ashk Aankhon mein chupaty huey thak jata hoon
Bojh paani ka uthaty huey thak jata hoon,
Paaon rakhty hain jo mujh par unhein ehsaas nai
Main nishaanaat mitaty huey thak jata hoon,
Barf aisi keh pighlti nai pani ban kar
Pyaas aisi keh bujhaaty huey thak jata hoon,
Achi lagti nai iss darja shanasaai bhi
Haath haathon se milaty huey thak jata hoon,
Gham _gussari bhi ajab kaar_e_ mohabbat hai
Keh main rony waalon ko hansaty huey thak jata hoo,
Itni qabrein na banao mery andar “MOHSIN”
Main charaghoon ko jalaty huey thak jata hoon.

” Nikala hum ko janat say, Fareb-e-zindagi day kar Iqbal

 ” Nikala hum ko janat say, Fareb-e-zindagi day kar Iqbal
















” Nikala hum ko janat say, Fareb-e-zindagi day kar
Iqbal
Diya phir shoq-e-janat keyon? Ye herani nahi jati________!!

Me Udas Hoon Koi Baat Kar.

Mere Jaan -o- Dil Mere Hum Safar,


















Mere Jaan -o- Dil Mere Hum Safar,
Me Udas Hoon Koi Baat Kar.

Tere Lab Hilen To Kate Safar,
Me Udas Hoon Koi Baat Kar.

Koi Boj Hai To Utaar De,
Koi Khof Hai To Nikal De.

Mera Haath Hai Tere Hath Par.
Me Udas Hoon Koi Baat Kr....

Chalo tm chor do mujh ko

Chalo tm chor do mujh ko




















Chalo tm chor do mujh ko
Me wapis lot jata hn

Tmhen manzil mubarik ho
Naya sathi mubarik ho

Mgr phr ae mere ham-dam
Mje itna to batlaa do

K wapis kis taraf jaoun??
Kahan se sath laye thay??

Muje itna to samjha do
Agr aisa nahi mumkin

To mujh ko is trah torho
K me yaksar bikher jaoun

Bhatakne se to behtr hai
Tmhare pas mr jaoun!!!!!!

meri hasrat k janazy ko uthany waly,

meri hasrat k janazy ko uthany waly,














meri hasrat k janazy ko uthany waly,
kitny bedard hain yeh loag zamany waly,

koi apna nahi matlab ki hai yeh dunya sari,
ab kahan milty hain woh yar purany waly,

main dua go hon sada nendain mubarik tum ko,
hijar ka dard dy k muj ko jagany waly,

bus yeh he soch kar har bar manata hon usy,
loat k aaty hain kahan rooth k jany waly,

un k dil main kabhi jhank ker dekho to sahi Saqi,
kitny afsurda hain auron ko hansany waly,

Kisi Ka Naam Likhne Se Koi Apna Nahi Hota .

Kisi Ka Naam Likhne Se Koi Apna Nahi Hota .





















Barre Maasoom Jazbon Se
Wo Apne ShoKh Hathon Par

Wafa Ki Surkh Mehndi Se Usi Ka
Naam likhti Hai
Jisse Wo
Pyar Karti Hai

Mgar

Wo Na Samajh LarKi
Abhi Tak Ye Nahi Samjhi
K Sapne
Toot Jaayen To Boht Barbaad Karte Hain
Ye Ujle
Rang Hathon Par Kabhi thehra
Nahi Karte
Mohabhat To Haqeeqat Hai
Koi Sapna Nahi Hota
Kisi Ka Naam
Likhne Se
Koi Apna Nahi Hota .

Ghari Bhar K Liye Tujh Se Juda Rehna Bhi Mushkil Hai,

Ghari Bhar K Liye Tujh Se Juda Rehna Bhi Mushkil Hai,





















Ghari Bhar K Liye Tujh Se Juda Rehna Bhi Mushkil Hai,
Magar Ye Bat Sub K Samnay Kehna Bhi Mushkil Hai,

Har Ek Shay Tham Gai Hai, Sans Bhi Ankhon Ka Pani Bhi,
K Ab To Ansoo Ka Ankh Se Behna Bhi Mushkil Hai,

Baja Hai Zulum Hai Tera, Magar Ay Sheher Ke Hakim,
Sitam Haad Se Guzar Jaye To Phir Sehna Bhi Mushkil Hai,

Hai Dor e Maslehat Har Su , Gharz ka Dor Doura Hai,
Galat Ko Is Zamany Main Galat Kehna Bhi Mushkil Hai,

Lutairoooon K liye Aye Roshni Jannat Hai Ye Dharti,
Yahan Hasas Insan K Liye Rehna Bhi Mushkil Hai,

Koi Puchy Ager Ay Dil..

Koi Puchy Ager Ay Dil..














Koi Puchy Ager Ay Dil..
K Kis Ka Naam Chahat Hai..
K Kiya Chez Yeh Muhabbat Hai..

To Us Dam Us Se Ye Kehna..
Kisi Ko Sochty Rehna..
Kisi Ko Khojty Rehna..
Woh Jisko Pa Nahi Sakty..
Magar Kho B Nahi Sakty..
Kisi K Hona Bhi Chahein..
Kisi K Ho Nahi Skty..

Koi Aisa Ager Hai To
Ye Smjho K Wohi Hai Wo..
K Jis Se Pyar Karty Ho..
K Jis Pe Jety Marty Ho..
K Uska Naam Chahat Hai..
Han..
Yehi Jazba Muhabbat Hai..

Saturday 19 September 2015

Aapke hothon ki Ezzat ka khayal aata hai...!!

Aapke hothon ki Ezzat ka khayal aata hai...!!













Aapke hothon ki ijjat ka khayal aata hai...!!

Varna phoolon ko to hum sar e aam choom liya
kartey hain...!!.

Main Kaise Sard Haathon Se Tere Gaal Chua Karta Tha.

Main Kaise Sard Haathon Se Tere Gaal Chua Karta Tha.
















Main Kaise Sard Haathon Se Tere Gaal Chua
Karta Tha... \
December Mein Tujhe Meri Shararat Yaad Aaye
Gii...!! 

Shukriyaa Kehna tha Iss nazr_e_kAram Ka... ♡

Khwab ban kar Mile ho... aur kya khoob mile ho.




















Bss!
Shukriyaa Kehna tha Iss nazr_e_kAram Ka... ♡

Khwab ban kar Mile ho... aur kya khoob mile ho.

Isi Liye To Bachhon Pe Noor Sa Barasta Ha....

Isi Liye To Bachhon Pe Noor Sa Barasta Ha....
















Isi Liye To Bachhon Pe Noor Sa Barasta
Ha....
Sharartein To Karte Hain , Saazishein
Nahi Karte... 

Rehne De Ye Kitaab Tere Kaam Ki Nahi

Rehne De Ye Kitaab Tere Kaam Ki Nahi















Rehne De Ye Kitaab Tere Kaam Ki Nahi
.
Is Mein Likhe Hue Hain Wafaon Ke Kisse

Ittefaq se mil jaate ho jab tum raah mein kabhi...

Ittefaq se mil jaate ho jab tum raah mein kabhi...

















Ittefaq se mil jaate ho jab tum raah mein kabhi...
Yu Lagta hai Qareeb se zindagi jaa rahi ho jaise ...!!!!!
 

Kisi kee yaad dil mein aaj bhi hain,...

Kisi kee yaad dil mein aaj bhi hain,...
















Kisi kee yaad dil mein aaj bhi hain,...
Bhool gaye wo magar pyaar aaj bhi hain,...
Hm khush rehne ka dawa to krte h magar....
Unki yaad mein behte aansu aaj bhi hain!...

Tuesday 15 September 2015

Kahan sy layn har roz ek nya dil..

Kahan sy layn har roz ek nya dil..















Kahan sy layn har roz ek nya dil..

Torne walon ne to TamaShaa bna rkha ha.

Kon Preshan Hota Hai Tere Gham Se

Kon Preshan Hota Hai Tere Gham Se




















Kon Preshan Hota Hai Tere Gham Se

 Faraz '

Wo Apni Hi Kisi Baat Pe Roya Ho Ga 

Ab to mumkin he nahi un se mulaqat Wasi

Ab to mumkin he nahi un se mulaqat Wasi















Ab to mumkin he nahi un se mulaqat Wasi


Ab to urooj pe pohunchi hai us ki zaat Wasi


wohi waady hain aur rasmon ki zanjeerein baqi


Kab badalti hain zamaney ki riwayaat Wasi


Ek wo din thy ke ek doosrey ko sochtey thy hum


Ab miltey nahi dono ke khayalaat Wasi

Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein ..!!

Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein ..!!




















Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein ..!!
Aaisa Kartey Hein Keh Marr Jatey Hein ..!!

Kaisay Hotey Hein Bicharnay Walay..??
Hum Yea Sochein Bhi Toa Darr Jatey Hein ..!!

Dil Jo Tootey Toa Sar-e-Mehfil Bhi..!!
Baaal Be-Waja Bikhar Jatey Hein ..!!

Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhein..!!
Chartey Daryaa Toa Uther Jatey Hein ..!!

Dhoop Ka Roop Rachaney Walay...!!
Shaam Ko Aur Nikhar Jatey Hein ..!!

Ab Na Murr Murr Kay Pukaroo Unko..!!
Log Rastay Mein Taher Jatey Hein ..!!

Khaali Damann Say Shikayat Kaisi...??
Aashk Ankhon Mein Toa Barh Jatey Hein ..!!

Tum Kahan Jao Gay Socho Mohsin ..??
Log Thakk Haar Kay Ghar Jatey Hein ......

Kiun Dimaag pe Zoor Daal k Ginte ho , Galtiyan Meri,....

 Kiun Dimaag pe Zoor Daal k Ginte ho , Galtiyan Meri,....





















Kiun Dimaag pe Zoor Daal k Ginte ho ,
Galtiyan Meri,....

Kabhi Dil pe hath Rakh k Pochna,
Qasoor kis ka Tha,,,

Aye"Kaash"wo wapis jaye,

Aye"Kaash"wo wapis jaye,
















Kuch umar ki pehli Manzil thi

,Kuch rastay thy Anjaan boht.

Kuch hum b pagal thy lekin,

Kuch wo b thy Naadan boht.

Kuch os ne b na samjhaaya,

Ye pyar nai Aasaan boht.

Aakhir ham ne bkhail leya,

Jis khail mein thyNuqsaan boht.

Jab bikhar gaye tabye jaana,

AAatay hain yahanToofan boht.

Ab koi nai jo Apna ho


Ye Dil hai  ab Sunsaan Bohat.... 

Milnay ko to hain Insaan boht.

Aye"Kaash"wo wapis jaye,

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Phir bewafaai