Saturday, 3 October 2015
Mai Tum Ko Tumhare Siwa Chahta Hn
Mai Tum Ko Tumhare Siwa Chahta Hoon
Na Poch K ye MaiKya Chahta Hoon
Khuda K liye bat Rakh Loo Hamari
Zuban Se Tumhari Ik Han Chahta Hoon
Friday, 2 October 2015
Hum behr haal dil o jaan se tumhare hote
Hum behr haal dil o jaan se tumhare hote
tum bhi ke aadh ghari kaash humare hote
aks pani mein mohabbat mein utare hote
hum jo bethe hue darya ke kinare hote
jo ma`a v saal guzre hain bichhar kar humse
wo ma`a v saal agar sath guzare hote
kya abhi beech mein deewar koi baqi hai
kon sa gham hai bhala tum ko humare hote
sath aehbab ke hasid zaroori hai adeem
hum sukhan apna sunate jahan sare hote
Subscribe to:
Posts (Atom)

