}

Friday, 6 November 2015

Band Ankhon mai hai Raqsan Koi

Band Ankhon mai hai Raqsan Koi

Musam-e- Hijr hai wehshat hai Ruswai hai

Musam-e- Hijr hai wehshat hai Ruswai hai


Friday, 30 October 2015

Usne aaj phir mera haal poocha hai,

Usne aaj phir mera haal poocha hai,















Usne aaj phir mera haal poocha hai,
Kitna mushkil sawaal poocha hai.
Hichkiyon ka ajeeb lehja tha,
Baat ko taal-taal poocha hai.
Tum mujhe chhor to na jaoge ?
Waaste daal-daal poocha hai,
Aansuon ki zubaan mein usne,
Jitna bhi poocha, kamaal poocha hai.
Kya kabhi mil sakenge hum dono...?
Mujhse mera khayal poocha hai.
Din guzarta hai kis tarha mera ?
Kaise guzrega ye saal poocha hai.
IMRAN tum ny kia kamaal pucha hai
buhat mushkil sawaal pucha hai

Tuesday, 27 October 2015

Uski Hasrat Hai Jise Dil Se Mitaa Bhi Na Sakoon ,

Uski Hasrat Hai Jise Dil Se Mitaa Bhi Na Sakoon ,


















Uski Hasrat Hai Jise Dil Se Mitaa Bhi Na Sakoon , 
Dhoondhne Usko Challa Hoon Jise Paa Bhi Na Sakoon 

Daal Kar Khaak Mere Khoon Pe Qaatil Ne Kahaa, 
Kuch Yeh Yaad Nahi Meri Ke Mitaa Bhi Na Sakoon 

Zabt Kambakht Ne Aur Aa Ke Galaa Ghontaa Hai, 
Ke Use Haal Sunaaoo To Sunaa Bhi Na Sakoon 

Uske Pahloo Mein Jo Lejaa Ke Sulaa Doon Dil Ko, 
Need Aisee Use Aaye Ke Jagaa Bhi Na Sakoon 


Meharbaan Ho Ke Bulaa Lo Mujhe Chaaho Jis Waqt, 
Mai Gayaa Waqt Nahi Hoo Ke Phir Aa Bhi Na Sakoo

Monday, 12 October 2015

Meri Taqdeer Se Pooch Meri Kismat Ka Faisla,


Meri Taqdeer Se Pooch Meri Kismat Ka Faisla,




















Meri Taqdeer Se Pooch Meri Kismat Ka Faisla,
Meri Muskrahat Pe Na Ja Mera Dard Talash Kr,
Ankhon Se Pooch Mere Intezar Ki Had,
minan Pe Na Ja Mere Sabr Ko Talash Kr,
Mere Doston Se Pooch Meri Dosti Ka Aalam,
Surat Pe Na Ja Meri Seerat Talash Kr,
Jo Mil Jaien Tum Ko Meri Baton K Jawab,
To Phir Tu Zra Sa Kaam Kar,
TaLha

“Mujhe Aas Paas Na Dekh Mujhey apne AAP Main Talaash Kar”…

Friday, 9 October 2015

Mohabat Ki Kahani Mein Koi Tarmeem Maat Karna

Mohabat Ki Kahani Mein Koi Tarmeem Maat Karna



















Mohabat Ki Kahani Mein
Koi Tarmeem Maat Karna
Mujhe Tm Toor Dena Pr
Mujhe Taqsem Mat Karna
Zamanay K Dukhon Koh
Main Seh Lon Ga Zabat Kr K
Magr Tm Bhool Jany Ki
Kabhi Talqeen Maat Kaarna
Main Tm Se Piyar Karta
Tha Main Tm Sey Piyar Karta Hon
Keh Ky Bewafa Mujh Koh
Meri Toheen Mat Karna.

Wednesday, 30 September 2015

Tuesday, 29 September 2015

Ab Mohabbat ki Wakaalat Nahi Ki Ja Sakti

Ab Mohabbat ki Wakaalat Nahi Ki Ja Sakti


Shehr Bhar se to Adaawat Nahi Ki Ja Sakti


.


Mera Chehra Meri Aankhain hain Salaamat Ab Bhi
Kon Kehta Hai Wazaahat Nahi Ki Ja Sakti
.
Baat ye Hai k koi Toot k Chaahay to Sahi
Her kisi se to Mohabbat Nahi Ki Ja Sakti
.
Aankh Kehti Hai Kahin Aur Chalay Jaayen Hum
Dil ye Kehta Hai k Hijrat Nahi Ki Ja Sakti
.
Loh-e-Dil par Yehi Tehreer Likhi hay Mohsin

 Ishq Waalon ko Naseehat Nahi Ki Ja Sakti.

Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein ..!!

Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein ..!!


Aaisa Kartey Hein Keh Marr Jatey Hein ..!!



Kaisay Hotey Hein Bicharnay Walay..??
Hum Yea Sochein Bhi Toa Darr Jatey Hein ..!!

Dil Jo Tootey Toa Sar-e-Mehfil Bhi..!!
Baaal Be-Waja Bikhar Jatey Hein ..!!

Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhein..!!
Chartey Daryaa Toa Uther Jatey Hein ..!!

Dhoop Ka Roop Rachaney Walay...!!
Shaam Ko Aur Nikhar Jatey Hein ..!!

Ab Na Murr Murr Kay Pukaroo Unko..!!
Log Rastay Mein Taher Jatey Hein ..!!

Khaali Damann Say Shikayat Kaisi...??
Aashk Ankhon Mein Toa Barh Jatey Hein ..!!

Tum Kahan Jao Gay Socho Mohsin ..??

 Log Thakk Haar Kay Ghar Jatey Hein .......!!
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Phir bewafaai