}

Saturday, 31 October 2015

Hum ne jo deep jalaye hain teri galiyon mein

Hum ne jo deep jalaye hain teri galiyon mein






















Hum ne jo deep jalaye hain teri galiyon mein 
apne kuch khwab sajaye hain teri galiyon mein

jane ye ishq hai ya karamat apni
chand le kar chale aate hain teri galiyon mein

tazkra ho teri galiyon ka to dar jate hain
dil ne wo zakham uthaye hain teri galiyon mien

is liye bhi teri galiyon se humain nafrat hai
hum ne arman ganwaye hain teri galiyon mein

kiyon har ik cheez adhoori si humain lagti hai
jane kya chhor ke aye hain, teri galiyon mein

Wednesday, 28 October 2015

Barha Tujh Se Kaha tha Mujhe Apna Na Bana






















Barha Tujh Se Kaha tha Mujhe Apna Na Bana
Ab Mujhe Chor ke Dunya mai tamasha Na Bana

Friday, 9 October 2015

Hmain Yeh Gumaan Tha K Sa Chahtay Hein Hmain Wasi

Hmain Yeh Gumaan Tha K Sa Chahtay Hein Hmain Wasi
Add caption









Hmain Yeh Gumaan Tha K Sa
Chahtay Hein Hmain Wasi


Aziz T0 Sub K0 Thay Mager
Zarurat0n Ke Tarah.

Sanson kaa tot jana tau aam c baat hy WASI


Sanson kaa tot jana tau aam c baat hy WASI













Sanson kaa tot jana tau aam c baat hy WASI
jahan apnay yaad kerna chor jayen mout usko kehtay hyn

Tuesday, 15 September 2015

Ab to mumkin he nahi un se mulaqat Wasi

Ab to mumkin he nahi un se mulaqat Wasi















Ab to mumkin he nahi un se mulaqat Wasi


Ab to urooj pe pohunchi hai us ki zaat Wasi


wohi waady hain aur rasmon ki zanjeerein baqi


Kab badalti hain zamaney ki riwayaat Wasi


Ek wo din thy ke ek doosrey ko sochtey thy hum


Ab miltey nahi dono ke khayalaat Wasi

Sunday, 7 June 2015

Pathar se wafa, Mot se Sada Maang Raha Hon,

Pathar se wafa, Mot se Sada Maang Raha Hon,






















Pathar se wafa, Mot se Sada Maang Raha Hon,

Kiyon Aaj main Sehra se Ghatta Maang Raha Hon,

Muddat se koi Dil ko Dukhane nahi Aaya,

Aajao koi Zakham Naya Maang Raha Hon,

Hai Chaand Bohat Door mere Dust-e-rasam se,

Jo Ghar mein Jalay aisa Diya Maang Raha Hon,

Jo Jurm Mohabat mein Tujhe mera Bana De,

Aisi Hi koi pyari Saza Maang Raha Hon,

Maalom hai Tum Ghair k Ho Jaaoge,

Phir bhi Tumhain Paane ki Dua Maang Raha Hon..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Phir bewafaai