}

Friday, 2 October 2015

pahale pahal to khwabon ka dam bharne lagti hai

pahale pahal to khwabon ka dam bharne lagti hai
















pahale pahal to khwabon ka dam bharne lagti hai
phir aankhen palkon mein chup kar rone lagti hai

jane tab kyon suraj ke khvahish karte hain log
jab barish mein sab divaren girane lagti hai


tasviron ka rog bhi aakhir kaisa hota hai
tanhai mein baat karo to bolane lagti hai


sahil se takarane vali vahashi maujen bhi
zinda rahane ke khvahish mein marane lagti hai


tum kya jano lafzon ke aazar ke shiddat ko
yaden tak sochon ke aag mein jalne lagti hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Phir bewafaai