}

Wednesday, 25 February 2015

Koi Apna Bana K Dagha De Gia,

Koi Apna Bana K Dagha De Gia,





















 Dil Lagane Ki Hum Ko Mili Ye Saza,

Koi Apna Bana K Dagha De Gia,

Mujh Se Jeene Ka Haq Cheen Kar Zindagi Ki Dua De Gi

Bewafa Ne Tor Di Jab Pyar Ki Pehli Qasam,

Us Ki Zulfain Thi Preshan,

Meri Bhi Aankhain Thi Num,

Waqt-E-Rukhsat Bewafa Ne Mujh Pe Dhaye Ye Sitam,

Ek Tasweer K Us Ne Tukre Kiye,

Meri Soorat Ka Hisa Mujhe De Gia,

Dil Lagane Ki Hum Ko Mili Ye Saza

Koi Apna Bana Ke Dagha De Gia

Waqt K Be Reham Hathon Luti Thi

Meri Jageer Main Ne Dekha,

Jab Usay To Wo Meri Tasveer Thi,

Us Ne Mujh Ko Jo Dia Hai

Wo Meri Taqdeer Thi,

Tuhfe Ghairon Ko Us Ne Wafa K Diye,

Bewafai Ka Qisa Mujhe De Gia,

Kash Hum Bhi Ishq Ki Tuhmaton Se Khailte,

Apni Ye Qismat Kaha K Gaisoun Se Khalte,

Dil Jalon Ko Main Ne Dekha Aanso'on Se Khailte,

Apna Sab Kuch Ganwan K

Main Rota Raha,

Koi Chahat Ka Acha Sila De Gia,

Ek Din Main Ne Us Bewafa Se Milne Ko Chaha,

Ek Nazar Dekha Mujhe To Kar Li Phir Neechi Nigah,

Main Ne Poocha Sadiq Us Ne Muskra K Kaha,

Ab k Bichre Mile Gay Hashr Mein,

Mujhe Hashr Ka Dilasa De Gia



 Dil Lagane Ki Hum Ko Mili Ye Saza,

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Phir bewafaai