}

Wednesday, 25 February 2015

Koi Apna Bana K Dagha De Gia,

Koi Apna Bana K Dagha De Gia,





















 Dil Lagane Ki Hum Ko Mili Ye Saza,

Koi Apna Bana K Dagha De Gia,

Mujh Se Jeene Ka Haq Cheen Kar Zindagi Ki Dua De Gi

Bewafa Ne Tor Di Jab Pyar Ki Pehli Qasam,

Us Ki Zulfain Thi Preshan,

Meri Bhi Aankhain Thi Num,

Waqt-E-Rukhsat Bewafa Ne Mujh Pe Dhaye Ye Sitam,

Ek Tasweer K Us Ne Tukre Kiye,

Meri Soorat Ka Hisa Mujhe De Gia,

Dil Lagane Ki Hum Ko Mili Ye Saza

Koi Apna Bana Ke Dagha De Gia

Waqt K Be Reham Hathon Luti Thi

Meri Jageer Main Ne Dekha,

Jab Usay To Wo Meri Tasveer Thi,

Us Ne Mujh Ko Jo Dia Hai

Wo Meri Taqdeer Thi,

Tuhfe Ghairon Ko Us Ne Wafa K Diye,

Bewafai Ka Qisa Mujhe De Gia,

Kash Hum Bhi Ishq Ki Tuhmaton Se Khailte,

Apni Ye Qismat Kaha K Gaisoun Se Khalte,

Dil Jalon Ko Main Ne Dekha Aanso'on Se Khailte,

Apna Sab Kuch Ganwan K

Main Rota Raha,

Koi Chahat Ka Acha Sila De Gia,

Ek Din Main Ne Us Bewafa Se Milne Ko Chaha,

Ek Nazar Dekha Mujhe To Kar Li Phir Neechi Nigah,

Main Ne Poocha Sadiq Us Ne Muskra K Kaha,

Ab k Bichre Mile Gay Hashr Mein,

Mujhe Hashr Ka Dilasa De Gia



 Dil Lagane Ki Hum Ko Mili Ye Saza,

Bichra Howa Wo Shakhs Kabhi Mil Gaya To Phir

Bichra Howa Wo Shakhs Kabhi Mil Gaya To Phir














Bichra Howa Wo Shakhs Kabhi Mil Gaya To Phir
Daman Ye Chaak Chaak Agar Sil Gay To Phir

Teri Ye Dilkashi To Ata Hai Bahar Ki
Tujh Ko Khizan Naseeb Koi Mil Gaya To Phir

Mana K Dil Ko Sabaz Rutain Raas Hi Nhi
Dil Mein Wafa Ka Phool Agr Khil Gaya To Phir

Jo Hain Faraz Bakht Pe Maghroor Soch Lein
Qismat Ka Kohsaar Zara Hil Gaya To Phir

Sadi To Aub Jawan Nhi Dil Ki Fikar KAr
Is Dil Lagi K Khail Mein Ye Dil Gaya To Phir

Os Ne Gulaab Chooh Ke Jo Dekha Meri Taraf

 

Os Ne Gulaab Chooh Ke Jo Dekha Meri Taraf
Add caption















Os Ne Gulaab Chooh Ke Jo Dekha Meri Taraf……… Aisa Laga GUlaab Ka Mosam Thehar Gaya…………..

Soye Tou Shab Ke Qaafilay Aankhon Mein Chal Paray………..
Jaagay Tou Jaisay Khwaab Ka Mausam Thehar Gaya………..!

Pal Bhar Mere Sawaal Ka Mausam Nahee Raha……….

Laikin Tere Jawaab Ka Mausam Thehar Gaya……………!|

Os Ne Kaha Aankh Mein Gubaar Ka Mosam Kiun ????
 Mein Ne Kaha Azaab Ka Mosam Thehar Gaya……………!
Sehraa Mein Wo Saraab Ki Soorat Mila……………

Phir Yun Howa Saraab Ka Mausam Thehar Gaya

Tum Meri Pehli Mohabbat Ho Lekin

Tum Meri Pehli Mohabbat Ho Lekin















Tum Meri Pehli Mohabbat Ho Lekin..♥♥♥
Maine Chaaha Hai Tumhe aakhri
Mohabbat ki Tarah..

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar K Dekhtay Hain











Suna Hai Log Usay Aankh Bhar K Dekhtay Hain
So Us K Shehr Main Kuch Din Thehr K Dekhtay Hain

Suna Hai Rabt Hai Usko Kharab Haalon Se
So Apnay Ap Ko Barbaad Kar K Dekhtay Hain

Suna Hai Dard Ki Gahak Hai Chashm'e'Naz Uski
So Hum B Uski Gali SE Guzar K Dekhtay Hain

Suna Hai Usko Bhi Hai Shair'o'Shairi Se Shaghaf
So Hum Bhi Mojzay Apnay Hunar K Dekhtay Hain

Suna Hai Bolay To Baaton se Phool Jhartay Hain
Ye Baat Hai To Chalo Baat Kar K Dekhtay Hain

Suna Hai Raat Usay Chaand Takta Rehta Hai
Sitaray Baam'e'Falak Se Utar K Dekhtay Hain

Suna Hai Hashr Hain Uski Ghazaal Si Aankhen
Suna Hai Usko Hirann Dasht Bhar K Dekhtay Hain

Suna Hai Din Ko Usay Titliyan Satati Hain
Suna Hai Raat Ko Jugnu Thehr K Dekhtay Hain

Suna Hai Raat Se Bharh Kar Hain Kakulain Uski
Suna Hai Shaam Ko Sayee Guzar K Dekhtay Hain

Suna Hai Uski Siyah Chashmagi Qayamat Hai
So Usko Surma Faroosh Aah Bhar K Dekhtay Hain

Suna Hai Uskay Laboon Se Gulaab Jaltay Hain
So Hum Bahaar Par Ilzaam Dhar K Dekhtay Hain

Suna Hai Aaina Tamsaal Hai Jabeen Uski
Jo Sadaa Dil Hain Usay Ban Sanwar K Dekhtay Hain

Suna Hai Chashm'e'Tasawur Se Dasht'e'Imkaan Main
Palang Zawiye Uski Kamar K Dekhtay Hain

Suna Hai Uskay Badan K Tarash Aisay Hain
K Phool Apni Qubain Qatar K Dekhtay Hain

Wo Sar'o'Qad Hai Magar Be-Gul'e'Muraad Nahi
K Us Shajar Pe Shagofay Samar K Dekhtay Hain

Bas Ik Nigaah Se Lut'ta Hai Qafila Dil Ka
So Rah Rawa'e'Tamanna Bhi Dar K Dekhtay Hain

Suna Hai Uskay Shabistaan Se Moutasil Hai Behisht
Makeen Udhar K Bhi Jalway Idhar K Dekhtay Hain

Rukay To Gardishain Uska Tawaaf Karti Hain
Chalay To Usko Zamanay Thehr K Dekhtay Hain

Kisay Naseeb K Be Pair'han Usay Dekhay
Kabhi Kabhi Dar'o'Deewar Ghar K Dekhtay Hain

Kahaniyan Hio Sahi Sab Mubalaghay Hi Sahi
Agar Wo Khawab Hai Tabeer Kar K Dekhtay Hain

Ab Uskay Shehr MAin Therain K Kouch Kar Jain ?


FARAZ Ao Sitaray Safar K Dekhtay Hain

Sunday, 8 February 2015

Meherbaan Hoke Bulalo Mujhe, Chaho Jis Waqt

Meherbaan Hoke Bulalo Mujhe, Chaho Jis Waqt
















Meherbaan Hoke Bulalo Mujhe, Chaho Jis Waqt
Mein Gaya Waqt Nahin Hoon, Ke Phir Ahbhi Na Sakoon.

Zauf Mein Taanah-E Agyaar Ka Shikvah Kya Hai
Baat Koi Sar-Tho Nahin Hai, Ke Utha Bhi Na Sakoon.

Zehar Milta Hi Nahin Mujhko Sitamgar,
Varna Kya Kasam Hai Tere Milne Ki, Ke Kha Bhi Na Sakoon.

Wednesday, 4 February 2015

Ab K Aao To Kisi Baagh Main Milnay Aana...

 Ab K Aao To Kisi Baagh Main Milnay Aana...
















Ab K Aao To Kisi Baagh Main Milnay Aana...
Phir Se Ek Baar Gulabon Ka Dil Jalana Hai !!!


Tuesday, 3 February 2015

Tumhari thi shararat mehndi se hatheli pe naam likhna

 Tumhari thi shararat mehndi se hatheli pe naam likhna





















Tumhari thi shararat mehndi se hatheli pe naam likhna
Zaid aur mujhe ruswa kardia tumne younhi khelte khelte

Sari raat ki jaagi aankhein,


Sari raat ki jaagi aankhein,





















Sari raat ki jaagi aankhein,
College mein kiya parrhti hon gi,
Yunhi khoye, dil hi dil mein,
Jaanay kiya kiya karti hon gi,

Sari raat ki jaagi aankhen,
Koi bolay, kaan na dharna,
Koi hillay to ek dam darna,
Koi daikhe in ka barhna,
Apne aap say larti hon gi,

Sari raat ki jagi aankhein,
Apni kitaabein phartey rehna,
Us ki baaten kartey rehna,
Us ki yaadein ghartey rehna,
Jeetay jeetay marti hon gi,


Sari raat ki jagi aankhein,
College mein kiya parrhti hon gi.







Ab magar kuch bhi nain, kuch bhi nahin ho sakta,


Ab magar kuch bhi nain, kuch bhi nahin ho sakta,





















Ab magar kuch bhi nain, kuch bhi nahin ho sakta,
Apne jazbon se yeh rangeen shararat na karo,


Kitni masoom ho, naazuk ho, hamaqat na karo,
Baar’haa tum se kaha tha ke mohabbat na karo.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Phir bewafaai