Sunday, 15 March 2015
Na Sawal KaRNa, Na Jawab Milay Ga
Na Sawal KaRNa, Na Jawab Milay Ga
Mujhe Bhool Jana Qarar Milay Ga
Hum Uss Muqam Per They…
Na Sawal Kia Na Jawab Mila
Na Bhool Sakey Na Qarar Mila…!!
Hum Unse Mohhabbt Karte Chale Gaye,
Hum Unse Mohhabbt Karte Chale Gaye,
Aur Woh Thei Ki Humari Mohabbat Ko Nazarandaaz Karte Chale Gaye
Hum Dil Ke Har Raaz Unpe Zaahir Karte Chale Gaye,
Aur Woh Thei Ki Har Baat Ko Hansi-Majak Samjhte Chale Gaye
Rafta-Rafta Hum Unke Kareeb,
Aur Woh Humse Door Hote Chale Gaye
Hum Unke Isharon Ko Unke Irade Samjhte Chale Gaye,
Unki Har Baat Ko Unki Shararat Samjhte Chale Gaye,
Aur Woh Thei Ke Apni Shararat Pe Khil-Khila Ke Hanste Chale Gaye,
Rafta-Rafta Hum Unke Kareeb,
Aur Woh Humse Door Hote Chale Gaye
Hum Unki Dosti Ko Unki Mohaabbat Samjhte Chale Gaye,
Aur Woh Thei Ki Apni Dosti Ka Vaasta De Ke Chale Gaye
Zindgi Humse Samjhute,
Aur Hum Samjhtaun Se Zindgi Jeete Chale Gaye,
Rafta-Rafta Hum Unke Kareeb,
Aur Woh Humse Door Hote Chale Gaye
Hum Unse Mohhabbt Karte Chale Gaye,
Woh Thei Ke Humari Mohabbat Ko Nazarandaaz Karte Chale Gaye
Shikwe Bhi Hazaron Hain Shikayat Bhi Bohat Hai
Shikwe Bhi Hazaron Hain Shikayat Bhi Bohat Hai
Is Dil Ko Magar Usse Mohabat Bhi Bohat Hai
Aa Jata Hai Milne Wo Tasawwoor Mai Hamare
Ek Shakhs Ki Itni Si Inayat Bhi Bohat Hai
Yeh Bhi Hai Tamanna Kai Use Dil Se Bhula Dein
Is Dil Ko Magar Uski Zaroorat Bhi Bohat Hai
Dekhein Tu Zara Pee Ke Hum Zehr-E-Mohabbat
Sunte Hain Kai Is Zehr Mai Lazzat Bhi Bohat Hai
Shikayat Bhi Bohat Hai
Is Dil Ko Magar Usse Mohabat Bhi Bohat Hai
Aa Jata Hai Milne Wo Tasawur Mai Hamare
Ek Shakhs Ki Itni Si Inayat Bhi Bohat Hai
Yeh Bhi Hai Tamanna Kai Use Dil Se Bhula Dein
Is Dil Ko Magar Uski Zaroorat Bhi Bohat Hai
Dekhein Tu Zara Pee Ke Hum Zehr-E-Mohabbat
Sunte Hain Kai Is Zehr Mai Lazzat Bhi Bohat Hai
Katal Ker Ke Sare-Aam Ye Anjaan Bante Hai,
Katal Ker Ke Sare-Aam Ye Anjaan Bante Hai,
Husn Ke Ada Ye Dikha Ke Nadaan Bante Hai,
Wafao Ki Baate Jo Hamesha Karte Hai,
Wahi Dil Tod Ke Mehfil Mai Muskurate Hai,
Apne Dil Ko Jo Sheeshe Ka Kehte Hai,
Patthar MARNE Wale Bhi Wahi Hote Hai,
Bewafa Ka Naam Jo Hume De Jaate Hai,
Pehle Kyo Gerebaan Mai Apne Dekhte Nahi Hai,
Khamosh Un Ki Dunia Kabhi Hoti Nahi Hai,
Phoolon Se Gulistan Wo Apna Sajate Hai,
Khel Un Ka Samaj Nahi Aata Hai,
Phoolon Ka Tohfa Deker, Kaanto Ka Taaj Pehnana Chahte Hai
jis raat rukhsat unki barat hogi
WO raat DARD aur sitam ki raat hogi
jis raat rukhsat unki barat hogi
uth jaate hai yeh soch ker neend se k
kisi gair ki bahon mein hamari sari kainat hogi
Wednesday, 4 March 2015
Mohabbat phir mohabat hai
Mohabbat phir mohabat hai?
Kabhi dil se nhi jaati,
Hazaron rang hain is k,
Ajab hi dhang hain is k,
Kabhi sehra, kabhi darya,
Kabhi jugnu, kabhi aansu,
Hazaron roop rakhti hai,
Badan jhulsa k jo rakh day,
Kabhi wo dhoop rakhti hai,
Kabhi ban ker ye ek jugnu,
Shab-e-gham k andheron mein,
Dilon ko aas deti hai,
Kabih manzil kinaarey per,
Piyasa maar deti hai,
Azziyat hi azziyat hai,
Magar ye bhi haqiqat hai,
Mohabat phir mohabat hai,
Kabhi dil se nhi jaati?
Hijir ka taara doob chala hai dhalny lagi hy rat wasi
Hijir ka taara doob chala hai dhalny lagi hy rat wasi
Qatra qatra baras rahi hai ankhon se barsat wasi
tery bad ye dunya wale mujh ko pagal kar dein gy
khushbu k dais mein mujh ko le chal apne sath wasi
yunhi chup ki mohr laga kr kb tk gumsum betho gy
khamoshi se dum ghut-ta hy chero koi baat wasi
Main Tera Muntazir Hoon Mujhy Muskura K Mil,
Main Tera Muntazir Hoon Mujhy Muskura K Mil,
Kab Tak Tujhy Talaash Kroon Ab Aa K Mil,
Youn Mil K Phir Judai Ka Lamha Na Aa Sakay,
Jo Darmiyan Mein Hai Sabhi Kuch Mita K Mil,
Uss ki ankhon main mohabbat ka sitara hoga,
Uss ki ankhon main mohabbat ka sitara hoga,
Aik din aye ga woh shakss hamara hoga,
Tum jahan mere liye seepiyan chunti hogi,
Woh kisi aur hi duniya ka kinaara hoga,
Zindagi! ab mera naam na shamil karna,
Gar yeh tehh hai yehi khail dobaraa hoga,
Jis ke hone se meri saans chala karti hai,
Kis tarah us ke bina mera guzaara hoga,
Yeh achaanak jo ujaala sa hua jata hai,
Dil ne chupke se tera naam pukara hoga,
Ishq karna hai to din raat usey sochna hai,
Aur kuch zehen main aaya to hasaara hoga,
Yeh jo paani main chala aaya sunehri sa gharoor,
Uss ne daryaa main kahin paaon utaara hoga,
Kon rota hai yahan hijar ke sanaatton main,
Mere jesa hi koi hijar ka maara hoga,
Mujh ko maloom hai joon hi main qadam rakhoon ga,
Zindagi tera koi aur kinaara hoga,
Jo meri rooh main badal se garajte hain Wasi,
Uss ne seeney main koi dard utaara hoga,
Kaam mushkil hai magar jeet hi loon ga us ko,
Mere maula ka Wasi jab ishaara hoga.
Subscribe to:
Posts (Atom)